kuchh zyada to nhi
haan, kuchh zyada to nahin liya maine tumse
haan , kuchh zyada to kabhi diya nahin tumhein.
kuchh bheege se aansoo honge tumhare paas
jo bheeg kar naye se pani mein phir hain udaas
kuchh dhoop mein lipti muskurahate hi di thi
jo peela dupatta odh wapas mujh tak aai nhi
haan, kuchh zyada to nahin liya maine tumse
haan , kuchh zyada to kabhi diya nahin tumhein.
kuchh neele se khat hi honge ab bhi wahan
jinki syaahi phir nahi hui hogi jawaan
kuchh laal se phool hi honge murjhaye pade
jin mein wo lal bheeni khushboo bi nhi hogi bikhare
haan, kuchh zyada to nahin liya maine tumse
haan , kuchh zyada to kabhi diya nahin tumhein.
kuchh duaein hongi khuda ki marzi se mehki hui
jo yunhi deewar se takrakar bikhar jaati hongi
kuchh chamakta sa waqt bhi hoga kahin pada
jo ithlata tha kabhi apne pairon par , aaj nhi hoga khada
haan, kuchh zyada to nahin liya maine tumse
haan , kuchh zyada to kabhi diya nahin tumhein.
dekhna, kahin takiye ke paas tumhare
mere sapnon ke tukde bhi gire honge
aur chaadar mein tumhari kahin
meri silwatein bhi baki hongi
haan, kuchh zyada to nahin liya maine tumse
haan , kuchh zyada to kabhi diya nahin tumhein.
wo hontho se pilaya jaam kahi
paas hi akela rakha hoga
tumhare siraane par meri thapkiyaan
shayad ab le rhi hongi siskiyaan
haan, kuchh zyada to nahin liya maine tumse
haan , kuchh zyada to kabhi diya nahin tumhein.
mere lafz ab bhi kahi goonj rahe honge
ya waqt ke saath wo bhi maun ho gaye honge
mere geet pyaar mein lipte hue wahin
so rahe honge, paristhitiyon se ajnabi
haan, kuchh zyada to nahin liya maine tumse
haan , kuchh zyada to kabhi diya nahin tumhein.
meri saans dheere -dheere se kaano ke paas tumhare kahin
koi saaz sajaa na sakegi shayad ab kabhi
par hogi wahi -kahi aas paas wo , dekhna
tumhari dhadkano se batiya rahi hogi , sunna!
haan, kuchh zyada to nahin liya maine tumse
haan , kuchh zyada to kabhi diya nahin tumhein.
tumhare wo pal , jazbe aur waqt
jo hai meri rago mein behta rakt
mere paas hi hai abhi
par main lauta na sakungi kabhi
kyunki haan, kuchh zyada to nahin liya maine tumse
haan , kuchh zyada to kabhi diya nahin tumhein.
magar tum kehte ho ki main kuchh nahi chhod gai hu apna
aur agar hai kuchh to lauta doge tum, to lauta dena
wo waqt , wo ehsaas, wo jazbat, wo haalaat,
wo aks, wo mizaaz , wo raat , wo baat
lauta sako agar to lauta dena mujhe wo sab
na lauta paungi main tumhein jo ab
par na hona udaas mere yaar
bas kar lena wapas wahi vichaar
ki
haan, kuchh zyada to nahin liya maine tumse
haan , kuchh zyada to kabhi diya nahin tumhein.
Comments
Post a Comment